Sunday, January 20, 2008

Funny Hindi Shayari 12

Rasm-e-Ulfat hi ijaazat nahin deti warna
Hum Tujhey iss tarah " bhoolein" ke sada " Yaad" karo

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Chalo uss ne mujhey bura keh bhi diya tou kiya
Yahi buhut hai mujhey yaad kar raha tha koi

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jab Raastey mein Woh kaheen Saaya na paaey ga
Yeh aakhri Darakht buhut Yaad aaey ga

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

~ Kaash kuch dair yoonhi Waqt guzarta rehta
Mein ussey dekhta rehta woh sanwarta rehta
Uss ko jaana tha koi zakhm hi de kar jaata
Iss bahaaney, Mein ussey yaad tou karta rehta

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

~ Uss sey kehna ke badalta nahin jab tak Mausum
Mein agar Yaad bhi aaoon tou bhulaaey rakhna

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home